Darood Ibrahimi Ki Fazilat Aur Iski Roohani Barkat

Darood Ibrahimi ek azeem ibadat hai jo Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ ki shan mein pesh ki jati hai. Yeh sirf ek dua nahi, balkay rehmat aur barkat ka ek be-misaal wazifa hai. Is darood ki fazilat ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke yeh namaz ka hissa hai, jise har musalman rozana apni ibadat mein shamil karta hai. Iski barakat se na sirf roohani sukoon milta hai, balkay duniya aur aakhirat ki kamiyabi bhi naseeb hoti hai.

Ek Bachchi Aur Darood Sharif ki Barkat

Hazrat Sheikh Muhammad bin Sulaiman Jazuli رحمَهُ اللهُ عَلَيْهِ ek martaba wuzu karne ke liye kunwen par gaye, magar paani nikalne ke liye koi cheez mojood nahi thi. Sheikh kafi pareshan the. Isi beech ek uchi makan se ek chhoti si bachchi ne dekha aur kaha, “Aap woh Sheikh hain jinke nek amal ka har jagah churcha hai, lekin aap pareshan hain ke paani kaise nikalein!”

Us bachchi ne kunwen mein apna luab (thook) dala aur dekha ke paani kunwen se upar uth kar zameen par behne laga. Sheikh ne wuzu kiya aur bachchi se poocha, “Tumhein yeh martaba kaise mila?” Bachchi ne jawab diya, “Main Rasool Allah ﷺ par kasrat se darood bhejti hoon.” Yeh sunkar Sheikh ne qasam khaai ke woh Darood o Salam ki ek kitaab likhenge. Is tarah unhone “Dalail ul Khairat” namak mashhoor kitaab likhi. (Mutala’ al-Masarat Mutarjam, Safah 33, 34)

Darood Ibrahimi

Hazrat Abdul Rahman bin Abi Laila رضی اللہ عنہ farmate hain ke mujhe Ka’b bin Ujrah رضی اللہ عنہ kehne lage, ‘Kya tumhein woh tohfa na doon jo maine Rasul Allah ﷺ se suna hai?’ Maine kaha: ‘Kyoon nahi, pesh kijiye.’ Unhone farmaya ke hum ne Rasul Allah ﷺ se arz kiya: ‘Ya Rasul Allah ﷺ, be-shak Allah Pak ne humein (aap par) salaam bhejna sikhaya lekin hum aap par aur ahl-e-bait par Durood kaise bhejein?’ To Aap ﷺ ne irshad farmaya: ‘Yoon kaho!’

اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰٓی اٰلِ مُحَمَّدٍ کَمَا صَلَّیْتَ عَلٰٓی اِبْرٰھِیْمَ وَعَلٰٓی اٰلِ اِبْرٰھِیْمَ اِ نَّکَ حَمِیْدٌ مَّجِیْدٌط
اَللّٰھُمَّ بَارِکْ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّعَلٰٓی اٰلِ مُحَمَّدٍ کَمَا بَارَکْتَ علٰٓی اِبْرٰھِیْمَ وَعَلٰٓی اٰلِ اِبْرٰھِیْمَ اِنَّکَ حَمِیْدٌ مَّجِیْدٌ
(Sahih al-Bukhari, J2 Safah 429, Hadith 3370)

Darood Ibrahimi
Darood Ibrahimi

Darood Sharif ke Fazail

  • Rasool Allah ﷺ ne farmaya, “Meri ummat mein se jis ne sadaq-e-dil se aik martaba Darood e Pak parha, Allah Kareem us par das rehmatain nazil farmaayega aur us ke liye das nekian likhega aur us ke das darajat buland farmaayega aur us ke das gunaah mita dega.” (Mu’jam Kabir, J22 Safah 195 Hadith: 513), (Sahih Muslim, Hadith: 408), (Ibn Hibban, Hadith: 901),  (Tirmizi, Hadith: 513).
  • Rasool Allah ﷺ ne farmaya, “Har Jummah ke din mujh par Durood e Pak ki kaisrat kiya karo, be-shak meri ummat ka Durood har Jummah ke din mujh par pesh kiya jata hai, (Qiyamat ke din) logon mein se mere zyada qareeb woh shakhs hoga jis ne (duniya mein) mujh par zyada Durood parha hoga.” (Sunan al-Kubra, J3 Safah 353 Hadith: 5995). (Sunan Kubra, Hadith: 5995), (Ibn Hibban, Hadith: 908)
  • Rasool Allah ﷺ ne farmaya, “Ae logon! Be-shak tum mein se broz-e-Qiyamat uski deshton aur hisaab kitaab se jald nijaat paane wala woh shakhs hoga jis ne duniya mein mujh par kaisrat se Darood padha hoga.” (Firdous ul Akhbar, Hadith: 8210)
  • Nabi-e-Karim ﷺ ka irshad hai, “Mujh par kaisrat se Durood-e-Pak padho, be-shak tumhara mujh par Durood-e-Pak padhna tumhare gunaahon ke liye maghfirat hai.” (Jami ul Saghir, Hadith: 1406)

Darood Ibrahimi sirf ek dua nahi, balki mohabbat ka woh izhar hai jo ek ummati apne Pyare Nabi ﷺ se karta hai. Yeh woh noorani kalimat hain jo dil ko sukoon dete hain, zindagi ki musibatain door karte hain aur Allah ki rehmat ko barhata hain. Jo shakhs is darood ko apni zindagi ka hissa bana leta hai, uski dunya bhi roshan ho jati hai aur aakhirat bhi.

5/5 - (4 votes)

Leave a Comment